Wednesday, February 3, 2010

SAY ONLY "YA ALLAH MADAD"

bismilla Hir Rahmaan Nir Raheem.AssalamuAlykum.this is no doubt a very important matter for discussion.no doubt, everyone knows that Allah is the alone Creator of the whole Universe. Allah is the creator, rest are creature, that are being made by Him.Muslim also believe that shirk is the biggest sin in the eyes of Allah, Allah rab-ul Izzat nay Qura'an kareem mein irshad farmaya hay kay banday kay tamaam gunha chahoon to maaf kar doon LAIKIN shirk zulm-un-azeem hay jo kabhi maaf nahi karo'n ga. when i used to read qura'an in my youth age, i used to ponder why is that most of the Ayaat keeps on ending with the sifaat of Allah rab-ul-izzat, i used to really ponder why is that ALlah kees on repeating his sifaat in the most of the ayaah of the qura'an, and then ALhamdulilah Allah kay fazal when i practically started practcing on faith (tabligh kay kaam mein laga) then i realized and this believe came into my heart, no doubt this is something Allah rab-ul-izzat wants from his makhlooq to have firm blieve in his heart to Ask Him in time of hardship, in time of Araam, in time of pain, in time of beemari, in time of Rahat for his sifaat is Rehmaan, Raheem,Maalik, Salaam, Jabbaar, Wahaab, Kareem, Zuljilaal-e-wal ikraam and His other sifaat which Him and His prophet Muhammad Sallal Laho Alaihi Wasalam mentioned. the person sould have complete 'Yaqeen' kay jo kuch Aasmaan Zameen mein ho raha hay so wab Allah kay hukum se ho raha hay aur Allah Rab-ul-Izaat kay ikhtiar o tasarruf mein har cheez hay.[b] yehi paigaam tha tamaaam kay tamaam Ambia Karaam ka, Hazrat Adam alai SAlam se lay kar khatim-un-nabi Syed-ul-Ambia Hazrat MustafaSAllalLAho ALai hi wa Alay hi Wasalamtak ka kay ek ALlah hi ki Ibadat karo aur us ki ibadat mein kisi ek ko shareek mat karo aur us Hi se Madad maango kay wo tamam Aalimon ka Rab, Rahmaan aur Raheem , Malik Yaum midDeen hay.Allah paak nay apnay Ambia kay dawat-o-tabligh kay kaam ko Qura'an mein khoob zikar kya hay aur yeh bhi bataya kay jab inko parayshaani aaye, museebat aaye unho ney ek Allah ko pukara aur mukammal yaqeen kay saath pukaara aur phir Allah rab-ul-Izzat nay unki mada farmaye aur unko mushkil se nijaat dee. yehi deen ka khulasa hay, "e yaka na budu wa e yaka nastaeen" kay Hum ALlah hi ki ibadat kartay hain aur jab ALlah hi ki ibadat kartay hain to us hi se madad mangtay hain.yeh chahat Allah ki bando'n se hay kay wo khalis meray ho kar zindagi guzaray aur mushkil mein mujh se madad maangay.isliye pyaray NAbi Sallal Laho Alaihi salam kay jaan-e-saar sahaba aur tamam sualiheen auliya sidqeen shohda ney aap Sallal LAho Alai wa Ali hi Wasalam kee laye hoi shariyat pay chal kay ek Allah hi ko pukara aur unki zindagi ek Allah ki ibadat ka ala namona hay.jum hum bhi inki itaba aur in kay raasta mein chalain gay to bil-zaroor Allah rab-ul-izzat kamyab farmain gay, har haal/mushkil mein kamyaab farmain gay,aur un log kay raastay mein nahi chalain jinho ney muhabbat mein had se tajawus kar kay hazrat essa alai salam ko wo kuch kehnay lagay jin ka HAzrat Essa nay kabhi kaha bhi nahi tha aur unko Allah ka beta bana dala aur yahudi ney hazrat Uzair ko Allah ka beta bana dala aur nafrat mein gulu kar kay hazrat Essa ko galat alqaab kahay to Allah paak ka Gazab unpay naazil hua.'wa Ilahukum Ilahu'n Waahid' nahi hay koi mabood, Mushkil kusha, Hajit rawa, gaib se sunnay wala, tasarruf ka ikhtiar rahany wala, haazir o naazir Saway Allah teray aur hum shirk se bayzaar hain, jaisay bayzaar huay Ambia, Siddiqeen , Shohda aur Sualiheen aur ya Allah hum teri hi ibadat aur tujh hi se mada maangaty hain.
__________________"Allah has promised, to those among you who believe and work righteous deeds, that He will, of a surety, grant them in the land, inheritance (of power), as He granted it to those before them; that He will establish in authority their religion - the one which He has chosen for them; and that He will change (their state), after the fear in which they (lived), to one of security and peace: 'They will worship Me (alone) and not associate aught with Me. 'If any do reject Faith after this, they are rebellious and wicked." ( Quran : 024.055 )003.195 Those who have left their homes, or been driven out therefrom, or suffered harm in My Cause, or fought or been slain,- verily, I will blot out from them their iniquities, and admit them into Gardens with rivers flowing beneath;- A reward from the presence of Allah, and from His presence is the best of rewards."

No comments:

Post a Comment